shikwa na kar khudsey

shikwa na kar khudsey, gila mat kar
kismat deti hai jab to mana mat kar
hasney ki koshish kar zara aye nadaan
apney ghamo ko hi gina mat kar

aankh-on me manzilein rakhaley tu
hath-on me taqdeerein likhaley tu
dil ki kitaab me raastey darz hain
zamaney ki baatein suna mat kar

bahut hai duniya me dekhney ko baaki
waqt na raha ab sochney ko baaki
tanhaiyon me bhi akela na hoga tu
veeraniyon se yun dara mat kar

kafan to apna sab sath laye hain
gham kismat ne sabhi par dhaye hain
numaish na kar apni taqleef-on ki
saamna kar, peechey hata mat kar

Zinda hai tu bas housalon sey terey
bas chalta chal, raston ki fikar kiya mat kar

0 comments:

Post a Comment