Dosti Apni Bhi Kuch Roz

Din Saleeke Se Uga Raat Theekane Se Rahi
Dosti Apni Bhi Kuch Roz Zamane Se Rahi

Chand Lemho Ko Hi Banti Hain Musavvir* Aakhein
Zindagi Roz To Tasveer Banane Se Rahi

Is Andhere Mein To Thokar Hi Ujala Degi
Raat Jungle Mein Koi Shama Jalane Se Rahi

Faasla, Chaand Bana Deta Hai, Har Pathar Ko
Door Ki Roshni Nazdeek To Aane Se Rahi

Shehar Mein Sabko Kahan Milti Hai Rone Ki Jagah

0 comments:

Post a Comment